
Advertise on podcast: Lafz
Rating
5from
This podcast has
59 episodes
Language
HindiPublisher
SozExplicit
No
Date created
2020/10/08
Latest episode
2026/06/01
Average duration
3 min.
Release period
51 days
Description
Duniya mein jo do chaar logon ne jaana hai mujhe , unhe is baat ka ilm hai ki mujhe Urdu poetry se ishq hai . Main ye ishq aur junoon apna , duniya tak pohochna chaahta hun . Apna hi ek sher yahaan likh raha hun : Tapak rahi hain mere asha'ar se khoon ki boonde'n Kal shaam kisi haadse mein mar gaya hun main Soz . Ig : https://www.instagram.com/abhishek_soz?igsh=bG11dDl1ZDh0azJu Send a voice message :https://podcasters.spotify.com/pod/show/lafz--soz/message Write to me : [email protected] A podcast of serious urdu poetry.
Unlock Lafz podcast Email contact info,
Listeners & Audience details
Email contact information
Direct podcast contact details

Listeners
Audience numbers & engagement insights

Audience details
Podcast Insights

Podcast episodes
Check latest episodes from Lafz podcast
Bashir Badr
2026/06/01
Hijr ke waqt ka ek sher hai
Jo baar baar padh raha tha main
Bashir Sahab likhte hain
Aur Jagjit ne gaaya bhi toh hai :
MOHABBAT EK KHUSHBU HAI HAMESHA SAATH CHALTI HAI
KOI INSAAN TANHAAI MEIN BHI TANHA NAHIN REHTA
Aisi hi hai Bashir Sahab ki shaayari .. khushbu ki tarah aapke saath saath chalti hai
Jaisi ki office jaate waqt aap kalaai pe halka sa itra mal lete hain
Toh din bhar khushbu hawa mein rehti hai
Bashir sahab humare daur ke sabse badey shaayar theyy
Mohabbato'n ki zabaan bolte theyy
Ek waqt unko Mir aur Ghalib se compare kiya jaata tha
Unka hi ek sher hai :
YE DUNIYA HAI YAHAAN KOI JAGAH KHAALI NAHIN REHTI
KISI KE AANE JAANE SE KABHI KUCHH KAM NAHIN HOTA ..
Par Bashir sahab ke jaane se ek jagah hai jo khaali ho gayi hai
Koi vacuum ban gaya hai
Woh kabhi bhar nahin sakta
Shukriya
Soz
Mohabbat ki ek nazm - Amjad Islam Amjad
2026/05/09
Tanha tanha baithe baithe
Is ek nazm ko padhte hain
Aur yaad karte hain
Usi ek shakhs ko
Woh jo saath chalte chalte
Koi aur raah mud gaya
Waqt ki aakhiri saans tak
Jo apna kabhi ho nahin sakta
Uske aur mere ghar ke darmayaa'n
Aata hai sab kuchh ab
Dariya
Jungle
Sehra
Aur samaaj .
Suniye aur malaal kijiye
Bohot ishq
Soz .
Mujhse pehle tujhe jis shakh ne chaaha us ne - Ahmed Faraaz
2026/01/18
Main subah ke pehlu mein leta
Ye ek nazm padh raha hun
Neend aankhon mein hai
Aur ek khwaab table par baitha hai
Tumhari yaad kamre mein
Cigarette ke surmai dhue'n si
Bharti jaa rahi hai
Palko'n ke peechhe chal raha hai
Koi geela aansu :)
Ishq
Soz .
Woh ki har ahad e mohabbat se mukarta jaaye - Alamtaab Tishna
2026/01/04
January mein tishna saahab ki ye ghazal , badan par itwaar ki halki dhoop ki maanind mehsoos ho rahi hai .. main mal raha hun isey .
PS : the music ive used in the background is by Parth Chandiramani .
Haan agar aapne devanand ki guide dekhi hogi toh aap samajh jaayege ki jo photo maine use ki hai us sey zyaada suitable photo koi ho hi nahin sakti is mouzu ke liye duniya mein :)
ishq
Soz
Koi abr udey kisi kulzum se
2025/12/28
Saaqi Faaruqi ki ye nazm .. udti udti kaano mein pad gayi mere .. kisi ne hawaaon pe rakh di hogi .. tamaam umra koi zaayaka ghulta raha ..
Main ek lamhe ki dehleez par baitha padh raha hoon isko ..
Aur apne phone ke recorder par darj kar raha hoon isey
Aapke hawaale kar raha hoon isko .
Ishq
Soz :)
Door se hi bus dariya dariya lagta hai - Waseem Barelavi
2025/08/24
Ek sher mein Waseem Sahab likhte hain :
Main usko aansuo'n se likh raha hun
Ki mere baad koi padh nah paaye :)
Main sochta hun
Ki aise kitne saare khat duniya mein
Likhe gaye honge
Jo apne pate par nahin pohoche honge
Jin ke andar roshnaai phail gayi hogi
Waqt ki gard mein sann kar
Jo zard ho gaye honge
Kya itna hi muqaddar tha unka ?
Khair Waseem sahab ki is ghazal ka har ek sher kamaal hai ..
Suniye
Aur malaal kijiye
Ishq
Soz
Woh Saahilon Pe Gaane Waale Kya Hue - Nasir Kazmi
2025/07/13
Subah ke paanch baj rahe hain yahaan
Mand mand baarishon mein bheegte hue
Waqt nange paaon chal raha hai :)
Main tanha apne kamre mein baitha baith
Nasir saahab ki ye ek ghazal padh raha hun
Suniye aur ishq karte rahiye
Soz
Main tumse pyaar karta hoon - Ashfaaq Hussain
2025/06/30
Kitni nanhi nazm hai ye
Kisi chhote bachche ki tarah
Aur usi ki tarah iska har ek lafz
Kitna sachcha hai
Zia Mohyeddin ke recitation ne is ek nazm ko kahaan se kahaan pohocha diya
Zia Saahab ko bohot admire kiya hai maine
Kaash ki utne hi dil se main bhi recite kar paata nazmo'n ko
Khair
Pichhle kuchh dino se Khurshid Rizvi ka ye sher saanson se lipta hua hai
Padhiye :
Aakhir ko hans padenge kisi ek baat par
Rona tamaam umra ka bekaar jaayega :)
Background mein Priya gaa rahi hai
Woh jab bhi gaati hai toh baarish hone lagti hai
Phool khilne lagte hain
Yahi chaahta hun
Ki jahaan bhi rahe
Apni aawaaz ki khushboo se mehekti rahe
Soz .
Tamaam umra tera intezaar humne kiya : Hafeez Hoshiarpuri
2025/06/19
Ye ek ghazal record ki
shaair hain janaab hafeez hosiyaarpuri
Aur kuchh kehne ko baaqi raha kya ?
Apni ek nanhi nazm post kar raha hun
Padhiye :
Ek khwaab mein dekha tha tumko
Kal shab
Der talak khaamosh rahe
Sannaate ki ret meri aankhon mein
Bharti rahi
Do chaar janm jab beet gaye
Toh halki si aawaaz mein tum bole mujhse
Jahaan hain teri baahen
Mera saahil wahi ..
Tu bin bataaye mujhe le chal kahin :)
~Soz :)
Koi Aashiq Kisi Mehbooba Se - Faiz
2025/06/08
Faiz Ahmed Faiz ki yeh nazm sirf ek aashiq aur mehbooba ke darmiyan khāmushi aur yaadon ka fasaana nahin — balki ek khamosh inqilāb ki sarguzasht hai.
Is mein mehbooba sirf ek shakhs nahin, balki watan, awaam, aur us behtar mustaqbil ki tajassur shuda tasveer hai jo kahin waqt ki raakh tale dab chuki hai.
Faiz, ek musalsal be-awaaz sāniha likhta hai — jahan guzishta dard, na-aqli qurbat, aur bewafāi bhi izzat ke laayiq hain.
Yeh nazm ek sabr-o-sukoon se bhara hua inqilābī izhār hai — jisme na ilzaam hai, na fariyaad — sirf intezaar hai us subah ka,
jo phir se baad-e-sabā ke saath gulshan-e-yaad mein phool khilā sake.
MUJHE YAKEEN HAI .. JAB DUNIYA KHATM HO JAAYEGI .. SAB TARAF ANDHERE KA MANZAR HOGA ..
TAB KISI ROZ ISI EK NAZM SE
ZINDAGI KA PATA MILEGA .
love
soz .
Hum jo taareek raahon mein maare gaye
2025/05/26
Faiz ki ye ek historic nazm hai jo unhone Julius aur Ethel Rosenberg ke khutoot se inspire ho kar likhi thi .
Translation Aaga Shahid Ali ka hai
Source Rekhta hai .
Bohot waqt lag gaya kuchh naya post karne mein :(
Nadi mein gehre utar kar jaise log
Train se phenke hue sikke talaash karte hain
Main bhi andar
Bohot andar apne
Ek gham talaash karta hun
Shukriya
Soz :)
Ek Andha Safar Hai Ye
2024/12/31
Ye ek naya stanza kaha tha maine aur priya ne apni aawaaz mein piro diya .
Aaj is saal ka aakhiri din hai .. aur ye kitna munaasib hai ye kehna aur mehsoos karna ki YE EK ANDHA SAFAR HI TOH HAI ..
Har roz ek bujhte din ko apne badan se utaar kar rakhte jaate hain ..
EK ANDHA SAFAR HAI YE
KABHI RAAT TOH HONI HAI
YE KHEL HAI SAANSON KA
YAHAAN MAAT TOH HONI HAI
YE J**M KI MITTI BHI
EK DIN BIK JAANI HAI
ZINDAGI AUR KUCHH BHI NAHIN
TERI MERI KAHAANI HAI
EK PYAAR KA NAGHMA HAI
aawaaz : Priya kashyap
bol : Soz
Shukriya .
Yun na mil mujhse khafa ho jaise - Ehsaan Daanish
2024/11/08
Aadaab
Aaj subah phone scroll karte waqt Ehsaan Danish ki ye ek ghazal mili .
Dafatan usko record bhi kar liya ..
Yun hi ek random se recitation ki tarah
Phir khayaal aaya ki bohot waqt hua Spotify par kuchh upload kiye
Aur mujh ko hamesha yahi mehsoos hota raha hai
Ki recitations jo yun hi kiye jaate hain
Woh dar asal sabse behtar hote hain
Khair
Meri balcony mein Lily ka ek paudha hai
Jis par ek naya phool aaya hai
Ilias Babar Aawan ka ek sher yaad aa gaya :
Phool kitaabein le jaa tanha rehne de
Mera kamra , mera kamra rehne de
Bohot ishq
Soz
Stand with RG Kar
2024/10/03
Ye nazm takreeban ek maheene pehle Kalimpong ki waadiyon mein record ki thi .
Kaifi Azmi ki ye nazm duniya ki har ek Abhya ko dedicated hai .
UTH MERI JAAN MERE SAATH HI CHALNA HAI TUJHE
ishq
soz
Ye pichhle ishq ki baatein hain - Mohsin Naqvi
2024/06/27
Mohsin Naqvi deewaano ke shaair hain ..
Unki shaayari kisi khushbu ki tarah hai jo gaayab hone ke baad bhi maheeno yaad rehti hai ..
Bahar-haal
•Yaaqoot ek mehenge patthar ko kehte hain .
•Gard aalood - dhool mein lipta hua ya sana hua
Apna khayaal rakhiye
Ishq
Soz
Podcast sponsorship advertising
Start advertising on Lafz relevant audience podcasts
You may also like to advertise on these Podcasts

4.913561967
Wholesaling Inc with Brent Daniels
Find distressed properties for pennies on the dollar and turn them for huge profits!

4.827611707
Earn Your Happy
Lori Harder | YAP Media

4.8121121000
Mind Pump: Raw Fitness Truth
Sal Di Stefano, Adam Schafer, Justin Andrews, Doug Egge

4.736021309
The Bonfire with Big Jay Oakerson and Robert Kelly
SiriusXM

4.8259041494
Relatable with Allie Beth Stuckey
Blaze Podcast Network

4.662852000
The Dr. Laura Podcast
Dr. Laura Schlessinger & SiriusXM

4.92487951
The 1000 Hours Outside Podcast
1000 Hours Outside

4.723772000
Everything Everywhere Daily
Gary Arndt

4.818402000
The Cabral Concept
Dr. Stephen Cabral

4.723151964
Timeless Wisdom with Dennis Prager
Salem Podcast Network